ज़ुल्म-ओ-सितम को भी हम तो अदा समझे
ज़ुल्म-ओ-सितम को भी हम तो अदा समझे
पर मेरी चाहत को जाने वो क्या समझे
कुछ तो भला जाना मुझको बुरा समझे
पर मेरी चाहत को …
लाया था दिल को नज़र करने क़ुरबाँ ये जान-ओ-जिगर करने
उनके बिना मेरा हाल है क्या आया था उनको ख़बर करने -2
टाल दिया लेकिन मुझको भला समझे
ज़ुल्म-ओ-सितम को …
हाय दिल मेरे बुरे हैं दिन तेरे कि मार ही न डाले किसी की बेदिली
उनका मुस्कराना गली में आना-जाना हमारा लुट जाना हमारी ग़लती
जान के दुश्मन को जान-ए-वफ़ा समझे
ज़ुल्म-ओ-सितम को …
क्या है मोहब्बत प्यार है क्या कोई उन्हें बतलाए ज़रा
हुस्न ग़ज़ब का हुस्न सही जान तो ले दिलदार है क्या -2
बात तो करते हैं बात बिना समझे
ज़ुल्म-ओ-सितम को …
zulm-o-sitam ko bhī ham to adā samjhe
par merī chāhat ko jāne vo kyā samjhe
kuchh to bhalā jānā mujhko burā samjhe
par merī chāhat ko …
lāyā thā dil ko nazar karne qurbāṇ ye jān-o-jigar karne
unke binā merā hāl hai kyā āyā thā unko khabar karne -2
ṭāl diyā lekin mujhko bhalā samjhe
zulm-o-sitam ko …
hāy dil mere bure haiṅ din tere ki mār hī na ḍāle kisī kī bedilī
unkā muskrānā galī meṅ ānā-jānā hamārā luṭ jānā hamārī ġhaltī
jān ke duśhman ko jān-e-vafā samjhe
zulm-o-sitam ko …
kyā hai mohabbat pyār hai kyā koī unheṅ batlāe zarā
husn ġhazab kā husn sahī jān to le dildār hai kyā -2
bāt to karte haiṅ bāt binā samjhe
zulm-o-sitam ko …