Zindgee kee qasam, ho chuke unke ham

ज़िंदगी की क़सम, हो चुके उनके हम्
Work
Year
Language

ज़िंदगी की क़सम, हो चुके उनके हम
यह ज़माना दीवाना जो चाहे कहे

प्यार करके निभाना बड़ी चीज़ है
दिल की दुनिया भी आखिर कोई चीज़ है
ज़िंदगी भर न हम उनसे होंगे जुदा
दिल की राहों पे चलते रहेंगे सदा
जैसे तूफ़ान की मौजों में साहिल रहे

ज़ोर किसका चला है, भला इश्क़ पर
अपना-अपना है दिल, अपनी-अपनी नज़र
यह न होगा के हम उनसे मुँह मोड़ लें
डोर तक़दीर की बाँधकर तोड़ दें
आदमी वो जो वादे पे कायम रहे

ziṅdgī kī qasam, ho chuke unke ham
yah zamānā dīvānā jo chāhe kahe

pyār karke nibhānā baṛī chīz hai
dil kī duniyā bhī ākhir koī chīz hai
ziṅdgī bhar na ham unse hoṅge judā
dil kī rāhoṅ pe chalte raheṅge sadā
jaise tūfān kī maujoṅ meṅ sāhil rahe

zor kiskā chalā hai, bhalā iśhq par
apnā-apnā hai dil, apnī-apnī nazar
yah na hogā ke ham unse muṇh moṛ leṅ
ḍor taqdīr kī bāṇdhkar toṛ deṅ
ādmī vo jo vāde pe kāyam rahe