Zindgee kaisee hai pahelee, haay

ज़िंदगी कैसी है पहेली, हाय्
Work
Year
Language

ज़िंदगी …
कैसी है पहेली, हाए
कभी तो हंसाये
कभी ये रुलाये
ज़िंदगी …

कभी देखो मन नहीं जागे
पीछे पीछे सपनों के भागे
एक दिन सपनों का राही
चला जाए सपनों के आगे कहाँ
ज़िंदगी …

जिन्होने सजाए यहाँ मेले
सुख-दुख संग-संग झेले
वही चुनकर ख़ामोशी
यूँ चली जाए अकेले कहाँ
ज़िंदगी …

ziṅdgī …
kaisī hai pahelī, hāe
kabhī to haṅsāye
kabhī ye rulāye
ziṅdgī …

kabhī dekho man nahīṅ jāge
pīchhe pīchhe sapnoṅ ke bhāge
ek din sapnoṅ kā rāhī
chalā jāe sapnoṅ ke āge kahāṇ
ziṅdgī …

jinhone sajāe yahāṇ mele
sukh-dukh saṅg-saṅg jhele
vahī chunkar khāmośhī
yūṇ chalī jāe akele kahāṇ
ziṅdgī …