Zindgee aaj mere naam se sharmaatee hai

ज़िन्दगी आज मेरे नाम से शरमाती है
Year
Language

ज़िन्दगी आज मेरे नाम से शरमाती है
अपने हालात पे मुझे खुद ही हँसी आती है
ज़िन्दगी आज मेरे …

एक ग़म चैन से जीने नहीं देता मुझको -2
एक उलझन है जो अक्‌सर मुझे तड़पाती है
ज़िन्दगी आज मेरे …

इस तरह छोड़ के निकला हूँ मैं अपनी मंज़िल
जैसे हसरत कोई सीने से निकल जाती है
ज़िन्दगी आज मेरे …

राह चलते हुए कुछ सोच के रुक जाता हूँ -2
हर क़दम पर कोई भूली हुई याद आती है
ज़िन्दगी आज मेरे …

zindgī āj mere nām se śharmātī hai
apne hālāt pe mujhe khud hī hṇsī ātī hai
zindgī āj mere …

ek ġham chain se jīne nahīṅ detā mujhko -2
ek uljhan hai jo ak‌sar mujhe taṛpātī hai
zindgī āj mere …

is tarah chhoṛ ke niklā hūṇ maiṅ apnī maṅzil
jaise hasrat koī sīne se nikal jātī hai
zindgī āj mere …

rāh chalte hue kuchh soch ke ruk jātā hūṇ -2
har qadam par koī bhūlī huī yād ātī hai
zindgī āj mere …