Zaraa bolo k‌yaa logee is dil kaa kiraayaa

ज़रा बोलो क्‌या लोगी इस दिल का किराया
Work
Year
Language

मु: ज़रा बोलो री हाँ
ज़रा बोलो क्‌या लोगी इस दिल का किराया
ज़रा बोलो …

इस मुम्बई में खाली इक room नहीं है
और पगड़ी है करती जेबों का सफ़ाया
रुपयों का सफ़ाया नोटों का सफ़ाया
ज़रा बोलो …

कु: मेरे दिल की कोठरिया हो दिल की कोठरिया To let नहीं है
इसको बनिए ने ग़ुड़ का गोदाम बनाया
मु: ज़रा बोलो …

जब गुड़ है तो चूहों की दौड़ रहेगी
तेरी और बनिए की जोड़ी बेजोड़ रहेगी
उस बनिए ने कितना भाड़ा है चुकाया
ज़रा बोलो …

female: गुजराती कहते सौ पंजाबी कहते
सौ-सौ के पाँच नोट लो
और बीकानेरी कहते हमसे पाँच हज़ार लो
शिकारपुरी कहते हैं मुझसे जो चाहो सो लो

कु: लेकिन ( कोठरिया दो ) -2 तुम्हीं सोचो
इस पगड़ी ने मेरा है ( मोल बढ़ाया ) -2
मु: ज़रा बोलो …

mu: zarā bolo rī hāṇ
zarā bolo k‌yā logī is dil kā kirāyā
zarā bolo …

is mumbaī meṅ khālī ik room nahīṅ hai
aur pagaṛī hai kartī jeboṅ kā safāyā
rupyoṅ kā safāyā noṭoṅ kā safāyā
zarā bolo …

ku: mere dil kī koṭhriyā ho dil kī koṭhriyā To let nahīṅ hai
isko banie ne ġhuṛ kā godām banāyā
mu: zarā bolo …

jab guṛ hai to chūhoṅ kī dauṛ rahegī
terī aur banie kī joṛī bejoṛ rahegī
us banie ne kitnā bhāṛā hai chukāyā
zarā bolo …

female: gujrātī kahte sau paṅjābī kahte
sau-sau ke pāṇch noṭ lo
aur bīkānerī kahte hamse pāṇch hazār lo
śhikārpurī kahte haiṅ mujhse jo chāho so lo

ku: lekin ( koṭhriyā do ) -2 tumhīṅ socho
is pagaṛī ne merā hai ( mol baṛhāyā ) -2
mu: zarā bolo …