ज़मीं भी चुप है ... मासूम दिल की हाँ पे
ज़मीं भी चुप है आसमाँ भी चुप है किसी की दुनिया उजड़ रही है
बता ऐ मालिक ये कैसी क़िस्मत जो बनते-बनते बिगड़ रही है
मासूम दिल की हाँ पे ना कह दिया किसी ने
और बस इसी बहाने ग़म दे दिया किसी ने
बाद-ए-सबा जो आई और फूल मुस्कराए -2
सहला के ज़ख़्म मेरे बहला दिया किसी ने
और बस इसी बहाने …
मालूम क्या था हमको है रंज-ओ-ग़म की दुनिया -2
सौ-सौ सितम उठाए दो दिन की ज़िन्दगी में
और बस इसी बहाने …
zamīṅ bhī chup hai āsmāṇ bhī chup hai kisī kī duniyā ujaṛ rahī hai
batā ai mālik ye kaisī qismat jo bante-bante bigaṛ rahī hai
māsūm dil kī hāṇ pe nā kah diyā kisī ne
aur bas isī bahāne ġham de diyā kisī ne
bād-e-sabā jo āī aur phūl muskrāe -2
sahlā ke zakhm mere bahlā diyā kisī ne
aur bas isī bahāne …
mālūm kyā thā hamko hai raṅj-o-ġham kī duniyā -2
sau-sau sitam uṭhāe do din kī zindgī meṅ
aur bas isī bahāne …