Ye zameen gaa rahee hai, aasmaan gaa rahaa hai

ये ज़मीं गा रही है, आसमाँ गा रहा है
Work
Year
Language

ये ज़मीं गा रही है, आसमाँ गा रहा है
साथ मेरे ये सारा जहाँ गा रहा है

शोख कलियों के घूँघट सरकने लगे हैं
मस्त फूलों के दिल भी धड़कने लगे हैं
ये बहारों का दिलकश समा गा रहा है
साथ मेरे ये सारा जहाँ गा रहा है

झूमकर पर्बतों पे घटा छा रही है
प्यार की उम्र शायद करीब आ रही है
मेरा दिल प्यार की ये दास्ताँ गा रहा है
साथ मेरे ये सारा जहाँ गा रहा है

भूल कर राह कोई हसीं आ न जाए
इस जगह कोई परदा-नशीं आ न जाए
इस जगह आज एक नौजवाँ गा रहा है
साथ मेरे ये सारा जहाँ गा रहा है

ये ज़मीं गा रही है…

ye zamīṅ gā rahī hai, āsmāṇ gā rahā hai
sāth mere ye sārā jahāṇ gā rahā hai

śhokh kaliyoṅ ke ghūṇghaṭ sarakne lage haiṅ
mast phūloṅ ke dil bhī dhaṛakne lage haiṅ
ye bahāroṅ kā dilkaśh samā gā rahā hai
sāth mere ye sārā jahāṇ gā rahā hai

jhūmkar parbtoṅ pe ghaṭā chhā rahī hai
pyār kī umr śhāyad karīb ā rahī hai
merā dil pyār kī ye dāstāṇ gā rahā hai
sāth mere ye sārā jahāṇ gā rahā hai

bhūl kar rāh koī hasīṅ ā na jāe
is jagah koī pardā-naśhīṅ ā na jāe
is jagah āj ek naujvāṇ gā rahā hai
sāth mere ye sārā jahāṇ gā rahā hai

ye zamīṅ gā rahī hai…