ये वादा करो चाँद के सामने
ये वादा करो चाँद के सामने
भूला तो ना दोगे मेरे प्यार को
मेरे हाथ में हाथ दे दो ज़रा
सहारा मिलेगा मेरे प्यार को
ये चंदा ये तारें तो छुप जायेंगे
मगर मेरी नज़रों से छुपना ना तुम
बदल जाये दुनिया, ना बदलेंगे हम
बसाया है जब अपने दिल में तुम्हे
निभाना ही होगा इस इकरार को
बहारों के साये में आ झूम ले
भूला दे जमाने के ग़म आज तो
जमाने के गम से हमें काम क्या
हमें तुम मिले और क्या चाहीये
के हम छोड़ बैठे हैं संसार को
ye vādā karo chāṇd ke sāmne
bhūlā to nā doge mere pyār ko
mere hāth meṅ hāth de do zarā
sahārā milegā mere pyār ko
ye chaṅdā ye tāreṅ to chhup jāyeṅge
magar merī nazroṅ se chhupnā nā tum
badal jāye duniyā, nā badleṅge ham
basāyā hai jab apne dil meṅ tumhe
nibhānā hī hogā is ikrār ko
bahāroṅ ke sāye meṅ ā jhūm le
bhūlā de jamāne ke ġham āj to
jamāne ke gam se hameṅ kām kyā
hameṅ tum mile aur kyā chāhīye
ke ham chhoṛ baiṭhe haiṅ saṅsār ko