Ye vaadaa karo chaand ke saamne

ये वादा करो चाँद के सामने
Work
Year
Language

ये वादा करो चाँद के सामने
भुला तो न दोगे मेरे प्यार को
मेरे हाथ में हाथ दे दो ज़रा
सहारा मिलेगा मेरे प्यार को

ये चन्दा ये तारे तो छुप जायेंगे
मगर मेरी नज़रों से छुपना न तुम
बदल जाये दुनिया न बदलेंगे हम
निभाना ही होगा इस इक़रार को
ये वादा करो चाँद के सामने …

बहारों के साये में आ झूम लें
भुला दें ज़माने के ग़म आज तो
ज़माने के ग़म से हमें काम क्‌या
हमें तुम मिले और क्‌या चाहिये
कि हम छोड़ बैठे हैं संसार को
ये वादा करो चाँद के सामने …

ye vādā karo chāṇd ke sāmne
bhulā to na doge mere pyār ko
mere hāth meṅ hāth de do zarā
sahārā milegā mere pyār ko

ye chandā ye tāre to chhup jāyeṅge
magar merī nazroṅ se chhupnā na tum
badal jāye duniyā na badleṅge ham
nibhānā hī hogā is iqrār ko
ye vādā karo chāṇd ke sāmne …

bahāroṅ ke sāye meṅ ā jhūm leṅ
bhulā deṅ zamāne ke ġham āj to
zamāne ke ġham se hameṅ kām k‌yā
hameṅ tum mile aur k‌yā chāhiye
ki ham chhoṛ baiṭhe haiṅ saṅsār ko
ye vādā karo chāṇd ke sāmne …