Ye teraa ghar, ye meraa ghar

ये तेरा घर, ये मेरा घर्
Year
Language

ये तेरा घर ये मेरा घर किसी को देखना हो गर
तो पहले आ के माँग ले, मेरी नज़र तेरी नज़र
ये तेरा घर ये मेरा घर
ये घर बहुत हसीन है …

न बादलों की छाँव में, न चाँदनी की गाँव में
न फूल जैसे रास्ते बने हैं इसके वास्ते
मगर ये घर अजीब है, ज़मीन के क़रीब है
ये ईंट पत्थरों का घर, हमारी हसरतों का घर
ये तेरा घर ये मेरा घर …

जो चाँदनी नहीं तो क्‌या, ये रोशनी है प्यार की
दिलों के फूल खिल गये, तो फ़िक़्र क्‌या बहार की
हमारे घर न आयेगी, कभी खुशी उधार की
हमारी राहतों का घर, हमारी चाहतों का घर
ये तेरा घर ये मेरा घर …

ye terā ghar ye merā ghar kisī ko dekhnā ho gar
to pahle ā ke māṇg le, merī nazar terī nazar
ye terā ghar ye merā ghar
ye ghar bahut hasīn hai …

na bādloṅ kī chhāṇv meṅ, na chāṇdnī kī gāṇv meṅ
na phūl jaise rāste bane haiṅ iske vāste
magar ye ghar ajīb hai, zamīn ke qarīb hai
ye īṅṭ patthroṅ kā ghar, hamārī hasartoṅ kā ghar
ye terā ghar ye merā ghar …

jo chāṇdnī nahīṅ to k‌yā, ye rośhnī hai pyār kī
diloṅ ke phūl khil gaye, to fiqr k‌yā bahār kī
hamāre ghar na āyegī, kabhī khuśhī udhār kī
hamārī rāhtoṅ kā ghar, hamārī chāhtoṅ kā ghar
ye terā ghar ye merā ghar …