Ye saaye hain, ye duniyaa hai, parchhaaiyon kee

ये साये हैं, ये दुनिया है, परछाइयों की
Work
Year
Language

ये साये हैं, ये दुनिया है, परछाइयों की
ये साये हैं, ये दुनिया है
भरी भीड़ में खाली तन्हाइयों की ये साये हैं
ये दुनिया है

यहाँ कोई साहिल सहारा नहीं है
कहिं दूबने को किनारा नहीं है
यहाँ कोई साहिल सहारा नहीं है
यहाँ सारी रौनक ये रुसवाइयों की
ये साये है, ये दुनिया है परछाइयों की
ये साये है, ये दुनिया है …

कई चाँद उठकर जलाए बुझाए
बहुत हमने चाहा ज़रा नींद आए
कई चाँद उठकर जलाए बुझाए
यहाँ रात होती है बेज़ारियों की
ये साये है, ये दुनिया है परछाइयों की
ये साये है, ये दुनिया है …

यहाँ सारे चेहरे है माँगे हुए से
निगाहों में आँसू भी टके हुए से
यहाँ सारे चेहरे है माँगे हुए से
बड़ी नीची राहें है ऊँचाइयों की
ये साये है, ये दुनिया है परछाइयों की
ये साये है, ये दुनिया है भरी भीड़ में खाली तन्हाइयों की
ये साये हैं ये दुनिया है …

ye sāye haiṅ, ye duniyā hai, parchhāiyoṅ kī
ye sāye haiṅ, ye duniyā hai
bharī bhīṛ meṅ khālī tanhāiyoṅ kī ye sāye haiṅ
ye duniyā hai

yahāṇ koī sāhil sahārā nahīṅ hai
kahiṅ dūbne ko kinārā nahīṅ hai
yahāṇ koī sāhil sahārā nahīṅ hai
yahāṇ sārī raunak ye rusvāiyoṅ kī
ye sāye hai, ye duniyā hai parchhāiyoṅ kī
ye sāye hai, ye duniyā hai …

kaī chāṇd uṭhkar jalāe bujhāe
bahut hamne chāhā zarā nīṅd āe
kaī chāṇd uṭhkar jalāe bujhāe
yahāṇ rāt hotī hai bezāriyoṅ kī
ye sāye hai, ye duniyā hai parchhāiyoṅ kī
ye sāye hai, ye duniyā hai …

yahāṇ sāre chehre hai māṇge hue se
nigāhoṅ meṅ āṇsū bhī ṭake hue se
yahāṇ sāre chehre hai māṇge hue se
baṛī nīchī rāheṅ hai ūṇchāiyoṅ kī
ye sāye hai, ye duniyā hai parchhāiyoṅ kī
ye sāye hai, ye duniyā hai bharī bhīṛ meṅ khālī tanhāiyoṅ kī
ye sāye haiṅ ye duniyā hai …