Ye saaye hain, ye duniyaa hai

ये साये हैं, ये दुनिया है
Work
Year
Language

ये साए है, ये दुनिया है, परछईयों की
भरी भीड़ में खाली, तनहईयों की

यहाँ कोई साहिल, सहारा नहीं है
कही डूबने को किनारा नहीं है
यहाँ सारी रौनक है रुसवाईयों की

कही चाँद उठाकर, जलाए बुझाए
बहोत हमने चाहा, ज़रा नींद आये
यहाँ रात होती है, बेदारीयों की

यहाँ सारे चेहरे है, मांगे हुए से
निगाहों में आँसू भी टाँगे हुए से
बड़ी नीची राहे है, ऊँचाइयों की

ye sāe hai, ye duniyā hai, parchhaīyoṅ kī
bharī bhīṛ meṅ khālī, tanahaīyoṅ kī

yahāṇ koī sāhil, sahārā nahīṅ hai
kahī ḍūbne ko kinārā nahīṅ hai
yahāṇ sārī raunak hai rusvāīyoṅ kī

kahī chāṇd uṭhākar, jalāe bujhāe
bahot hamne chāhā, zarā nīṅd āye
yahāṇ rāt hotī hai, bedārīyoṅ kī

yahāṇ sāre chehre hai, māṅge hue se
nigāhoṅ meṅ āṇsū bhī ṭāṇge hue se
baṛī nīchī rāhe hai, ūṇchāiyoṅ kī