Ye raaten, ye mausam nadee kaa kinaaraa

ये रातें, ये मौसम नदी का किनारा
Year
Language

ये रातें, ये मौसम, नदी का किनारा, ये चंचल हवा
कहा दो दिलों ने, के मिलकर कभी हम ना होंगे जुदा

ये क्या बात है आज की चाँदनी में
के हम खो गये प्यार की रागनी में
ये बाहों में बाहें, ये बहकी निगाहें
लो आने लगा जिंदगी का मज़ा

सितारों की महफ़िल नें कर के इशारा
कहा अब तो सारा जहां है तुम्हारा
मोहब्बत जवां हो, खुला आसमां हो
करे कोई दिल आरजू और क्या

कसम है तुम्हे, तुम अगर मुझसे रूठे
रहे सांस जब तक ये बंधन ना टूटे
तुम्हे दिल दिया है, ये वादा किया है
सनम मैं तुम्हारी रहूंगी सदा

ye rāteṅ, ye mausam, nadī kā kinārā, ye chaṅchal havā
kahā do diloṅ ne, ke milkar kabhī ham nā hoṅge judā

ye kyā bāt hai āj kī chāṇdnī meṅ
ke ham kho gaye pyār kī rāgnī meṅ
ye bāhoṅ meṅ bāheṅ, ye bahkī nigāheṅ
lo āne lagā jiṅdgī kā mazā

sitāroṅ kī mahafil neṅ kar ke iśhārā
kahā ab to sārā jahāṅ hai tumhārā
mohabbat javāṅ ho, khulā āsmāṅ ho
kare koī dil ārjū aur kyā

kasam hai tumhe, tum agar mujhse rūṭhe
rahe sāṅs jab tak ye baṅdhan nā ṭūṭe
tumhe dil diyā hai, ye vādā kiyā hai
sanam maiṅ tumhārī rahūṅgī sadā