Ye raat ye chaandnee phir kahaan sun jaa dil kee (lt version)

ये रात ये चाँदनी फिर कहाँ सुन जा दिल की (ळत वेर्सिओन)
Work
Year
Language

ये रात ये चाँदनी फिर कहाँ, सुन जा दिल की दास्तां
चाँदनी रातें प्यार की बातें खो गयी जाने कहाँ
ये रात ये चाँदनी फिर कहाँ, सुन जा दिल की दास्तां

आती है सदा तेरी टूटे हुए तारों से
आहट तेरी सुनती हूँ खामोश नज़ारों से
भीगी हवा, उमड़ी घटा कहती है तेरी कहानी
तेरे लिये बेचैन है शोलों मे लिपटी जवानी
सीने मे बल खा रहा है धुआं, सुन जा दिल की दास्तां
ये रात ये चाँदनी फिर कहाँ, सुन जा दिल की दास्तां

लहरों के लबों पर हैं खोये हुए अफ़साने
गुलज़ार उम्मीदों के सब खो गये वीराने
तेरा पता पाऊं कहाँ सूने हैं सारे ठिकाने
जाने कहाँ गुम हो गये जाके वो अगले ज़माने
बरबाद है आरज़ू का जहाँ, सुन जा दिल की दास्तां
दास्तां दास्तां दास्तां

ye rāt ye chāṇdnī phir kahāṇ, sun jā dil kī dāstāṅ
chāṇdnī rāteṅ pyār kī bāteṅ kho gayī jāne kahāṇ
ye rāt ye chāṇdnī phir kahāṇ, sun jā dil kī dāstāṅ

ātī hai sadā terī ṭūṭe hue tāroṅ se
āhaṭ terī suntī hūṇ khāmośh nazāroṅ se
bhīgī havā, umaṛī ghaṭā kahtī hai terī kahānī
tere liye bechain hai śholoṅ me lipṭī javānī
sīne me bal khā rahā hai dhuāṅ, sun jā dil kī dāstāṅ
ye rāt ye chāṇdnī phir kahāṇ, sun jā dil kī dāstāṅ

lahroṅ ke laboṅ par haiṅ khoye hue afsāne
gulazār ummīdoṅ ke sab kho gaye vīrāne
terā patā pāūṅ kahāṇ sūne haiṅ sāre ṭhikāne
jāne kahāṇ gum ho gaye jāke vo agle zamāne
barbād hai ārazū kā jahāṇ, sun jā dil kī dāstāṅ
dāstāṅ dāstāṅ dāstāṅ