ये रात ये चाँदनी फिर कहाँ सुन जा दिल की दास्ताँ
ये रात ये चाँदनी फिर कहाँ
सुन जा दिल की दास्ताँ
ये रात्…
पेड़ों की शाखों पे सोई सोई चाँदनी
तेरे खयालों में खोई खोई चाँदनी
और थोड़ी देर में थक के लौट जाएगी
रात ये बहार की फिर कभी न आएगी
दो एक पल और है ये समा, सुन जा…
लहरों के होंठों पे धीमा धीमा राग है
भीगी हवाओं में ठंडी ठंडी आग है
इस हसीन आग में तू भी जलके देखले
ज़िंदगी के गीत की धुन बदल के देखले
खुलने दे अब धड़कनों की ज़ुबाँ, सुन जा…
जाती बहारें हैं उठती जवानियाँ
तारों के छाओं में पहले कहानियाँ
एक बार चल दिये गर तुझे पुकारके
लौटकर न आएंगे क़ाफ़िले बहार के
आजा अभी ज़िंदगी है जवाँ, सुन जा…
ye rāt ye chāṇdnī phir kahāṇ
sun jā dil kī dāstāṇ
ye rāt…
peṛoṅ kī śhākhoṅ pe soī soī chāṇdnī
tere khayāloṅ meṅ khoī khoī chāṇdnī
aur thoṛī der meṅ thak ke lauṭ jāegī
rāt ye bahār kī phir kabhī na āegī
do ek pal aur hai ye samā, sun jā…
lahroṅ ke hoṅṭhoṅ pe dhīmā dhīmā rāg hai
bhīgī havāoṅ meṅ ṭhaṅḍī ṭhaṅḍī āg hai
is hasīn āg meṅ tū bhī jalke dekhle
ziṅdgī ke gīt kī dhun badal ke dekhle
khulne de ab dhaṛaknoṅ kī zubāṇ, sun jā…
jātī bahāreṅ haiṅ uṭhtī javāniyāṇ
tāroṅ ke chhāoṅ meṅ pahle kahāniyāṇ
ek bār chal diye gar tujhe pukārke
lauṭkar na āeṅge qāfile bahār ke
ājā abhī ziṅdgī hai javāṇ, sun jā…