Ye raat bheegee bheegee, ye mast phijaayen

ये रात भीगी भीगी, ये मस्त फिजायें
Year
Language

ये रात भीगी भीगी, ये मस्त फिजायें
उठा धीरे धीरे, वो चाँद प्यारा प्यारा
क्यों आग सी लगा के गुमसुम है चांदनी
सोने भी नहीं देता, मौसम का ये इशारा

इठलाती हवा, नीलम सा गगन
कलियों पे ये बेहोशी की नमी
ऐसे में भी क्यों बेचैन है दिल
जीवन में न जाने क्या है कमी

जो दिन के उजाले में न मिला
दिल ढूंढें ऐसे सपने को
इस रात की जगमग में डूबी
मैं ढूंढ रही हूँ अपने को

ऐसे में कहीं क्या कोई नहीं
भूले से जो हमको याद करे
एक हल्की सी मुस्कान से जो
सपनों का जहां आबाद करे

ye rāt bhīgī bhīgī, ye mast phijāyeṅ
uṭhā dhīre dhīre, vo chāṇd pyārā pyārā
kyoṅ āg sī lagā ke gumsum hai chāṅdnī
sone bhī nahīṅ detā, mausam kā ye iśhārā

iṭhlātī havā, nīlam sā gagan
kaliyoṅ pe ye behośhī kī namī
aise meṅ bhī kyoṅ bechain hai dil
jīvan meṅ na jāne kyā hai kamī

jo din ke ujāle meṅ na milā
dil ḍhūṅḍheṅ aise sapne ko
is rāt kī jagamag meṅ ḍūbī
maiṅ ḍhūṅḍh rahī hūṇ apne ko

aise meṅ kahīṅ kyā koī nahīṅ
bhūle se jo hamko yād kare
ek halkī sī muskān se jo
sapnoṅ kā jahāṅ ābād kare