Ye parbton ke daayre ye shaam kaa dhuaan

ये पर्बतों के दायरे ये शाम का धुआँ
Work
Year
Language

ये पर्बतों के दायरे ये शाम का धुआँ
ऐसे में क्‌यों न छेड़ दें दिलों की दास्ताँ

ज़रा सी ज़ुल्फ़ खोल दो फ़िज़ा में इत्र घोल दो
नज़र जो बात कह चुकी वो बात मुँह से बोल दो
कि झूम उठे निगाह में बहार का समाँ
ये पर्बतों के दायरे …

ये चुप भी एक सवाल है अजीब दिल का हाल है
हर इक ख़याल खो गया बस अब यही ख़याल है
कि फ़ासला न कुछ रहे हमारे दर्मियाँ
ये पर्बतों के दायरे …

ये रूप रंग ये फबन चमक्‌ते चाँद सा बदन
बुरा न मानो तुम अगर तो चूम लूँ किरण किरण
कि आज हौसलों में है बला की गर्मियाँ
ये पर्बतों के दायरे …

ye parbtoṅ ke dāyre ye śhām kā dhuāṇ
aise meṅ k‌yoṅ na chheṛ deṅ diloṅ kī dāstāṇ

zarā sī zulf khol do fizā meṅ itr ghol do
nazar jo bāt kah chukī vo bāt muṇh se bol do
ki jhūm uṭhe nigāh meṅ bahār kā samāṇ
ye parbtoṅ ke dāyre …

ye chup bhī ek savāl hai ajīb dil kā hāl hai
har ik khayāl kho gayā bas ab yahī khayāl hai
ki fāslā na kuchh rahe hamāre darmiyāṇ
ye parbtoṅ ke dāyre …

ye rūp raṅg ye phaban chamak‌te chāṇd sā badan
burā na māno tum agar to chūm lūṇ kiraṇ kiraṇ
ki āj hausloṅ meṅ hai balā kī garmiyāṇ
ye parbtoṅ ke dāyre …