Ye meraa deevaanaapan hai, yaa mohabbat kaa surur

ये मेरा दीवानापन है, या मोहब्बत का सुरुर
Work
Year
Language

दिल से तुझ को बेदिली है, मुझ को है दिल का गुरूर
तू ये माने के ना माने, लोग मानेंगे ज़रूर

ये मेरा दीवानापन है, या मोहब्बत का सुरूर
तू ना पहचाने तो है ये तेरी नज़रों का कसूर

दिल को तेरी ही तमन्ना, दिल को है तुझ से ही प्यार
चाहे तू आये ना आये, हम करेंगे इंतजार

ऐसे वीराने में एक दिन, घूट के मर जायेंगे हम
जितना जी चाहे पुकारो, फिर नहीं आयेंगे हम

dil se tujh ko bedilī hai, mujh ko hai dil kā gurūr
tū ye māne ke nā māne, log māneṅge zarūr

ye merā dīvānāpan hai, yā mohabbat kā surūr
tū nā pahchāne to hai ye terī nazroṅ kā kasūr

dil ko terī hī tamannā, dil ko hai tujh se hī pyār
chāhe tū āye nā āye, ham kareṅge iṅtjār

aise vīrāne meṅ ek din, ghūṭ ke mar jāyeṅge ham
jitnā jī chāhe pukāro, phir nahīṅ āyeṅge ham