Ye mard bare dil sard bare

ये मर्द बड़े दिल सर्द बड़े
Work
Year
Language

ये मर्द बड़े दिल सर्द बड़े बेदर्द न धोखा खाना
मीठी मीठी बतियों में भूल के न आना

होते हैं छोटे दिल के लम्बी ज़ुबान वाले
देते हैं माल खोटा ऊँची दुकान वाले
छोटा मुँह और बात बड़ी ये है दस्तूर पुराना
मीठी मीठी बतियों में भूल के न आना …

बात पते की है ये मानो जो मेरा कहना
अच्छा है आग से तो दूर ही दूर रहना
झूठी इनकी जात बड़ी ये है दस्तूर पुराना
मीठी मीठी बतियों में भूल के न आना …

Rafi version
ये मर्द बड़े दिल सर्द बड़े बेदर्द चलो जी माना
मर्दों का फिर भी ग़ुलाम है ज़माना …

दुनिया के साथ चलो नया ज़माना है ये
मर्दों को दोश देना राग पुराना है ये
झूठी इनकी जात कहो या कहो इन्हें दीवाना
मर्दों का फिर भी ग़ुलाम है ज़माना …

गुस्सा गुरूर लड़ना नारी की भूल है ये
ठण्डा मिजाज़ रखना पहला उसूल है ये
बात पते की कहता हूँ तुम चाहे कहो दीवाना
मर्दों का फिर भी ग़ुलाम है ज़माना …

ye mard baṛe dil sard baṛe bedard na dhokhā khānā
mīṭhī mīṭhī batiyoṅ meṅ bhūl ke na ānā

hote haiṅ chhoṭe dil ke lambī zubān vāle
dete haiṅ māl khoṭā ūṇchī dukān vāle
chhoṭā muṇh aur bāt baṛī ye hai dastūr purānā
mīṭhī mīṭhī batiyoṅ meṅ bhūl ke na ānā …

bāt pate kī hai ye māno jo merā kahnā
achchhā hai āg se to dūr hī dūr rahnā
jhūṭhī inkī jāt baṛī ye hai dastūr purānā
mīṭhī mīṭhī batiyoṅ meṅ bhūl ke na ānā …

Rafi version
ye mard baṛe dil sard baṛe bedard chalo jī mānā
mardoṅ kā phir bhī ġhulām hai zamānā …

duniyā ke sāth chalo nayā zamānā hai ye
mardoṅ ko dośh denā rāg purānā hai ye
jhūṭhī inkī jāt kaho yā kaho inheṅ dīvānā
mardoṅ kā phir bhī ġhulām hai zamānā …

gussā gurūr laṛnā nārī kī bhūl hai ye
ṭhaṇḍā mijāz rakhnā pahlā usūl hai ye
bāt pate kī kahtā hūṇ tum chāhe kaho dīvānā
mardoṅ kā phir bhī ġhulām hai zamānā …