Ye mahlon, ye takhton, ye taajon kee duniyaa

ये महलों, ये तख़्तों, ये ताजों की दुनिया
Work
Year
Language

ये महलों, ये तख़्तों, ये ताजों की दुनिया
ये इनसां के दुश्मन समाजों की दुनिया - 2
ये दौलत के भूखे रिवाज़ों की दुनिया
ये दुनिया अगर मिल भी जाये तो क्‌या है - 2

हर एक जिस्म घायल, हर एक रुह प्यासी
निगाहो में उलझन, दिलों मे उदासी
ये दुनिया है या आलम-ए-बदहवासी
ये दुनिया …

जहाँ एक खिलौना है इनसां की हस्ती
ये बस्ती है मुर्दा-परस्तों की बस्ती
जहाँ और जीवन से है मौत सस्ती
ये दुनिया …

जवानी भटकती है बेज़ार बनकर
जवां जिस्म सजते है बाज़ार बनकर
जहाँ प्यार होता है व्यापार बनकर
ये दुनिया …

ये दुनिया जहाँ आदमी कुछ नहीं है
वफ़ा कुछ नहीं, दोस्ती कुछ नहीं है - 2
जहाँ प्यार कि कद्र ही कुछ नहीं है
ये दुनिया …

जला दो, जला दो इसे फूँक डालो ये दुनिया
मेरे सामने से हटा लो ये दुनिया
तुम्हारी है तुम ही सम्भलो ये दुनिया, ये दुनिया …

ye mahloṅ, ye takhtoṅ, ye tājoṅ kī duniyā
ye insāṅ ke duśhman samājoṅ kī duniyā - 2
ye daulat ke bhūkhe rivāzoṅ kī duniyā
ye duniyā agar mil bhī jāye to k‌yā hai - 2

har ek jism ghāyal, har ek ruh pyāsī
nigāho meṅ uljhan, diloṅ me udāsī
ye duniyā hai yā ālam-e-badahvāsī
ye duniyā …

jahāṇ ek khilaunā hai insāṅ kī hastī
ye bastī hai murdā-parastoṅ kī bastī
jahāṇ aur jīvan se hai maut sastī
ye duniyā …

javānī bhaṭaktī hai bezār bankar
javāṅ jism sajte hai bāzār bankar
jahāṇ pyār hotā hai vyāpār bankar
ye duniyā …

ye duniyā jahāṇ ādmī kuchh nahīṅ hai
vafā kuchh nahīṅ, dostī kuchh nahīṅ hai - 2
jahāṇ pyār ki kadr hī kuchh nahīṅ hai
ye duniyā …

jalā do, jalā do ise phūṇk ḍālo ye duniyā
mere sāmne se haṭā lo ye duniyā
tumhārī hai tum hī sambhlo ye duniyā, ye duniyā …