Ye k‌yaa jagah hai doston, ye kaun saa dayaar hai

ये क्‌या जगह है दोस्तों, ये कौन सा दयार है
Work
Year
Language

ये क्‌या जगह है दोस्तों, ये कौन सा दयार है
हद-ए-निगाह तक जहां गुबार ही गुबार है
ये क्‌या जगह है दोस्तों

ये किस मुकाम पर हयात, मुझको लेके आ गई
न बस खुशी पे कहां, न ग़म पे इख्तियार है
ये…

तमाम उम्र का हिसाब मांगती है ज़िन्दगी
मांगती है ज़िन्दगी
ये मेरा दिल कहे तो क्‌या, ये खुद से शर्मसार है
ये खुद से शर्मसार है
ये…

बुला रहा क्‌या कोई चिलमनों के उस तरफ़
चिलमनों के उस तरफ़
मेरे लिये भी क्‌या कोई उदास बेक़रार है
उदास बेक़रार है
ये…

न जिसकी शकल है कोई, न जिसका नाम है कोई
इक ऐसी शै का क्‌यों हमें अज़ल से इन्तज़ार है
ये…

ye k‌yā jagah hai dostoṅ, ye kaun sā dayār hai
had-e-nigāh tak jahāṅ gubār hī gubār hai
ye k‌yā jagah hai dostoṅ

ye kis mukām par hayāt, mujhko leke ā gaī
na bas khuśhī pe kahāṅ, na ġham pe ikhtiyār hai
ye…

tamām umr kā hisāb māṅgtī hai zindgī
māṅgtī hai zindgī
ye merā dil kahe to k‌yā, ye khud se śharmsār hai
ye khud se śharmsār hai
ye…

bulā rahā k‌yā koī chilamnoṅ ke us taraf
chilamnoṅ ke us taraf
mere liye bhī k‌yā koī udās beqrār hai
udās beqrār hai
ye…

na jiskī śhakal hai koī, na jiskā nām hai koī
ik aisī śhai kā k‌yoṅ hameṅ azal se intazār hai
ye…