ये क्या है ढंग ज़माने का
ये क्या है ढंग ज़माने का
कैसी ये खुदाई है
हर एक भलाई का बदला
दुनिया में बुराई है
ये क्या है ढंग ज़माने का
हर बात बने अफ़साना जहाँ
हर नाम पे तोहमत आती हो
उठते ही कोई मासूम नज़र
बस रुसवाई हो जाती हो
ऐ दिल ऐसी महफ़िल से तो
बेहतर तनहाई है
हर एक भलाई का बदला
दुनिया में बुराई है
ये क्या है ढंग ज़माने का
दिल पार हुआ बेज़ार हुआ
अब जीना यहाँ दुशवार हुआ
दिल पार हुआ बेज़ार हुआ
झूठे तानों को सुनकर मैं
मजबूर हुआ लाचार हुआ
कहीं ले चल ऐ दिल ये नगरी
मुझे रास न आई है
हर एक भलाई का बदला
दुनिया में बुराई है
ये क्या है ढंग ज़माने का
ye kyā hai ḍhaṅg zamāne kā
kaisī ye khudāī hai
har ek bhalāī kā badlā
duniyā meṅ burāī hai
ye kyā hai ḍhaṅg zamāne kā
har bāt bane afsānā jahāṇ
har nām pe tohmat ātī ho
uṭhte hī koī māsūm nazar
bas rusvāī ho jātī ho
ai dil aisī mahafil se to
behtar tanhāī hai
har ek bhalāī kā badlā
duniyā meṅ burāī hai
ye kyā hai ḍhaṅg zamāne kā
dil pār huā bezār huā
ab jīnā yahāṇ duśhvār huā
dil pār huā bezār huā
jhūṭhe tānoṅ ko sunkar maiṅ
majbūr huā lāchār huā
kahīṅ le chal ai dil ye nagrī
mujhe rās na āī hai
har ek bhalāī kā badlā
duniyā meṅ burāī hai
ye kyā hai ḍhaṅg zamāne kā