Ye kahe chaandnee raat sunaa do apne dil kee baat

ये कहे चाँदनी रात सुना दो अपने दिल की बात्
Work
Year
Language

ये कहे चाँदनी रात
सुना दो अपने दिल की बात
आई रितु मस्तानी -2

मोहे कहते आये लाज
किसी की दो आँखों ने आज
कह दी प्यार की कहानी -2

( कोई नये तराने लाया
कोई ख़ाब सुहाने लाया ) -2
अब तक ना सुने कानों ने
ऐसे अफ़साने लाया -2
इस दिल में बसाई आग़
किया ये सूना घर आबाद
तेरी बड़ी मेहरबानी -2

ये कहे चाँदनी रात
सुना दो अपने दिल की बात
आई रितु मस्तानी -2

ye kahe chāṇdnī rāt
sunā do apne dil kī bāt
āī ritu mastānī -2

mohe kahte āye lāj
kisī kī do āṇkhoṅ ne āj
kah dī pyār kī kahānī -2

( koī naye tarāne lāyā
koī khāb suhāne lāyā ) -2
ab tak nā sune kānoṅ ne
aise afsāne lāyā -2
is dil meṅ basāī āġh
kiyā ye sūnā ghar ābād
terī baṛī meharbānī -2

ye kahe chāṇdnī rāt
sunā do apne dil kī bāt
āī ritu mastānī -2