Ye jo chilman hai, dushman hai hamaaree

ये जो चिलमन है, दुश्मन है हमारी
Year
Language

ये जो चिलमन है, दुश्मन है हमारी
कितनी शर्मीली दुल्हन है हमारी

दूसरा और कोई यहाँ क्यो रहे
हुस्न और इश्क के दरमियाँ क्यों रहे
ये यहाँ क्यों रहे, हाँ जी हाँ क्यों रहे
ये जो आँचल है, शिकवा है हमारा
क्यो छुपाता है चेहरा ये तुम्हारा

कैसे दीदार आशिक तुम्हारा करे
रूख-ए-रोशन का कैसे नज़ारा करे
इशारा करे, हा पुकारा करे
ये जो गेसूं हैं, बादल हैं कसम से
कैसे बिखरे हैं गालों पे सनम के

रुख़ से परदा ज़रा जो सरकने लगा
उफ़ ये कंबख़्त दिल क्यों धड़कने लगा
भड़कने लगा, दम अटकने लगा
ये जो धड़कन है दुश्मन है हमारी
कैसे दिल संभाले उलझन है हमारी

ye jo chilman hai, duśhman hai hamārī
kitnī śharmīlī dulhan hai hamārī

dūsrā aur koī yahāṇ kyo rahe
husn aur iśhk ke darmiyāṇ kyoṅ rahe
ye yahāṇ kyoṅ rahe, hāṇ jī hāṇ kyoṅ rahe
ye jo āṇchal hai, śhikvā hai hamārā
kyo chhupātā hai chehrā ye tumhārā

kaise dīdār āśhik tumhārā kare
rūkh-e-rośhan kā kaise nazārā kare
iśhārā kare, hā pukārā kare
ye jo gesūṅ haiṅ, bādal haiṅ kasam se
kaise bikhre haiṅ gāloṅ pe sanam ke

rukh se pardā zarā jo sarakne lagā
uf ye kaṅbakht dil kyoṅ dhaṛakne lagā
bhaṛakne lagā, dam aṭakne lagā
ye jo dhaṛkan hai duśhman hai hamārī
kaise dil saṅbhāle uljhan hai hamārī