Ye hasrat thee ke is duniyaa men bas do kaam kar jaate

ये हसरत थी के इस दुनिया में बस दो काम कर जाते
Year
Language

यह हसरत थी के इस दुनिया में बस दो काम कर जाते
तुम्हारी याद में जीते, तुम्हारे ग़म में मर जाते

यह दुनिया डूबती तूफ़ान आता इस क़यामत का
अगर दम भर को आँखों में मेरी आँसू ठहर जाते

तुम्हारी याद आ-आकर मेरे नश्तर चुभोती है
मगर न दिल के सारे ज़ख़्म इतने दिन में भर जाते

कहाँ तक दुख उठाएं तेरी फ़ुर्क़त और जुदाई के
अगर मरना ही था एक दिन, न क्‌यूँ फिर आज मर जाते

yah hasrat thī ke is duniyā meṅ bas do kām kar jāte
tumhārī yād meṅ jīte, tumhāre ġham meṅ mar jāte

yah duniyā ḍūbtī tūfān ātā is qayāmat kā
agar dam bhar ko āṇkhoṅ meṅ merī āṇsū ṭhahar jāte

tumhārī yād ā-ākar mere naśhtar chubhotī hai
magar na dil ke sāre zakhm itne din meṅ bhar jāte

kahāṇ tak dukh uṭhāeṅ terī furqat aur judāī ke
agar marnā hī thā ek din, na k‌yūṇ phir āj mar jāte