ये हरियाली और ये रास्ता -2
इन राहों पर तेरा-मेरा जीवन भर का वास्ता
ये हरियाली और …
फूला-फला है प्रीत का अँगना
गाती हूँ तेरे प्यार की रचना
दिल की ये बातें दिल में न रखना
कह दो जो कहना है ओ मोरे सजना
ये हरियाली और …
तुम रहते हो मेरे मन में ऐसे
जैसे उजाला चाँद के तन में
जैसे ख़ुश्बू फूल चमन में
जैसे ठंडक मस्त पवन में
ये हरियाली और …
आग उल्फ़त की दिल में लगी है
धीरे-धीरे बढ़ती रही है
प्यासी कोयलिया जलती रही है
जल-जल के तुमसे कह रही है
ये हरियाली और …
ye hariyālī aur ye rāstā -2
in rāhoṅ par terā-merā jīvan bhar kā vāstā
ye hariyālī aur …
phūlā-phalā hai prīt kā aṇgnā
gātī hūṇ tere pyār kī rachnā
dil kī ye bāteṅ dil meṅ na rakhnā
kah do jo kahnā hai o more sajnā
ye hariyālī aur …
tum rahte ho mere man meṅ aise
jaise ujālā chāṇd ke tan meṅ
jaise khuśhbū phūl chaman meṅ
jaise ṭhaṅḍak mast pavan meṅ
ye hariyālī aur …
āg ulfat kī dil meṅ lagī hai
dhīre-dhīre baṛhtī rahī hai
pyāsī koyliyā jaltī rahī hai
jal-jal ke tumse kah rahī hai
ye hariyālī aur …