Ye duniyaa kaisee hai bhagvaaan

ये दुनिया कैसी है भगवाअन्
Work
Year
Language

ये दुनिया कैसी है भगवान जहाँ मर-मर के जिए इन्सान

कहने दो तुम आज मुझे अफ़साना इक दुखियारी का
जिसके भोले मन में एक दिन लागा तीर शिकारी का
प्यार हुआ दोनों में फिर भी निकले नहीं अरमान
ये दुनिया कैसी …

दीप ख़ुशी के बुझ गए जल के लग गई आग जवानी में
जग वालों ने ज़हर मिलाया प्यार के मीठे पानी में
( बिछड़ गया ) -2 नैय्या से खिवैया आया वो तूफ़ान
ये दुनिया कैसी …

पड़ी है उस बेकस की नैय्या अब तक ग़म के धारे पे
छोड़ जिसे बेदर्द खिवैया पहुँचा आप किनारे पे
चार दिनों में प्यार की क़समें भूल गया नादान
ये दुनिया कैसी …

रोती है दिन-रात वो बिरहन याद में प्यारे साजन की
ओ मालिक इन्साफ़ तो कर क्‌या रीत यही है जीवन की
लूट के एक निर्धन की दुनिया मौज करे धनवान
ये दुनिया कैसी …

ye duniyā kaisī hai bhagvān jahāṇ mar-mar ke jie insān

kahne do tum āj mujhe afsānā ik dukhiyārī kā
jiske bhole man meṅ ek din lāgā tīr śhikārī kā
pyār huā donoṅ meṅ phir bhī nikle nahīṅ armān
ye duniyā kaisī …

dīp khuśhī ke bujh gae jal ke lag gaī āg javānī meṅ
jag vāloṅ ne zahar milāyā pyār ke mīṭhe pānī meṅ
( bichhaṛ gayā ) -2 naiyyā se khivaiyā āyā vo tūfān
ye duniyā kaisī …

paṛī hai us bekas kī naiyyā ab tak ġham ke dhāre pe
chhoṛ jise bedard khivaiyā pahuṇchā āp kināre pe
chār dinoṅ meṅ pyār kī qasmeṅ bhūl gayā nādān
ye duniyā kaisī …

rotī hai din-rāt vo birahan yād meṅ pyāre sājan kī
o mālik insāf to kar k‌yā rīt yahī hai jīvan kī
lūṭ ke ek nirdhan kī duniyā mauj kare dhanvān
ye duniyā kaisī …