Ye duniyaa agar mil bhee jaaye to kyaa hai

ये दुनिया अगर मिल भी जाये तो क्या है
Work
Year
Language

ये महलों, ये तख्तों, ये ताजों की दुनिया
ये इंसान के दुश्मन समाजों की दुनिया
ये दौलत के भूखे रवाजों की दुनिया
ये दुनिया अगर मिल भी जाये तो क्या है

हर एक जिस्म घायल, हर एक रूह प्यासी
निगाहो में उलझन, दिलों में उदासी
ये दुनिया है या आलम-ए-बदहवासी
ये दुनिया अगर मिल भी जाये तो क्या है

जहाँ एक खिलौना है, इंसान की हस्ती
ये बस्ती है मुर्दा परस्तों की बस्ती
यहाँ पर तो जीवन से मौत सस्ती
ये दुनिया अगर मिल भी जाये तो क्या है

जवानी भटकती है बदकार बन कर
जवां जिस्म सजते हैं बाजार बनकर
यहाँ प्यार होता है व्योपार बनकर
ये दुनिया अगर मिल भी जाये तो क्या है

ये दुनिया जहाँ आदमी कुछ नहीं है
वफ़ा कुछ नहीं, दोस्ती कुछ नहीं है
यहाँ प्यार की कद्र ही कुछ नहीं है
ये दुनिया अगर मिल भी जाये तो क्या है

जला दो इसे, फूँक डालो ये दुनिया
मेरे सामने से हटा लो ये दुनिया
तुम्हारी है तुम ही संभालो ये दुनिया
ये दुनिया अगर मिल भी जाये तो क्या है

ye mahloṅ, ye takhtoṅ, ye tājoṅ kī duniyā
ye iṅsān ke duśhman samājoṅ kī duniyā
ye daulat ke bhūkhe ravājoṅ kī duniyā
ye duniyā agar mil bhī jāye to kyā hai

har ek jism ghāyal, har ek rūh pyāsī
nigāho meṅ uljhan, diloṅ meṅ udāsī
ye duniyā hai yā ālam-e-badahvāsī
ye duniyā agar mil bhī jāye to kyā hai

jahāṇ ek khilaunā hai, iṅsān kī hastī
ye bastī hai murdā parastoṅ kī bastī
yahāṇ par to jīvan se maut sastī
ye duniyā agar mil bhī jāye to kyā hai

javānī bhaṭaktī hai badkār ban kar
javāṅ jism sajte haiṅ bājār bankar
yahāṇ pyār hotā hai vyopār bankar
ye duniyā agar mil bhī jāye to kyā hai

ye duniyā jahāṇ ādmī kuchh nahīṅ hai
vafā kuchh nahīṅ, dostī kuchh nahīṅ hai
yahāṇ pyār kī kadr hī kuchh nahīṅ hai
ye duniyā agar mil bhī jāye to kyā hai

jalā do ise, phūṇk ḍālo ye duniyā
mere sāmne se haṭā lo ye duniyā
tumhārī hai tum hī saṅbhālo ye duniyā
ye duniyā agar mil bhī jāye to kyā hai