ये दिल नहीं कि जिसके सहारे जीते हैं
ये दिल नहीं कि जिसके सहारे जीते हैं
लहू का जाम है जो सुबह-ओ-शाम पीते हैं
ये दिल नहीं है …
छुपाया लाख मगर इश्क़ नहीं छुपता
यूँ अश्क़ आँख में आया हुआ नहीं रुकता
कि आग लगती है जब आँसुओं को पीते हैं
लहू का जाम है …
तड़प-तड़प के निकालेंगे दिल के अरमाँ हम
करेंगे रंज से पैदा ख़ुशी के समाँ हम
कि ग़मों की नोक से दिल के ज़ख़्म सीते हैं
लहू का जाम है …
कभी क़रार न आएगा हमको जीने से
इलाज ज़हर का होता है ज़हर पीने से
कि सर पे मौत का साया है फिर भी जीते हैं
लहू का जाम है …
ye dil nahīṅ ki jiske sahāre jīte haiṅ
lahū kā jām hai jo subah-o-śhām pīte haiṅ
ye dil nahīṅ hai …
chhupāyā lākh magar iśhq nahīṅ chhuptā
yūṇ aśhq āṇkh meṅ āyā huā nahīṅ ruktā
ki āg lagtī hai jab āṇsuoṅ ko pīte haiṅ
lahū kā jām hai …
taṛap-taṛap ke nikāleṅge dil ke armāṇ ham
kareṅge raṅj se paidā khuśhī ke samāṇ ham
ki ġhamoṅ kī nok se dil ke zakhm sīte haiṅ
lahū kā jām hai …
kabhī qarār na āegā hamko jīne se
ilāj zahar kā hotā hai zahar pīne se
ki sar pe maut kā sāyā hai phir bhī jīte haiṅ
lahū kā jām hai …