Ye dil aur unkee nigaahon ke saaye

ये दिल और उनकी निगाहों के साये
Year
Language

ये दिल और उनकी निगाहों के साये
मुझे घेर लेते हैं बाहों के साये

पहाड़ों को चंचल किरण चूमती है
हवा हर नदी का बदन चूमती है
यहाँ से वहाँ तक हैं चाहों के साये

लिपटते ये पेड़ों से बादल घनेरे
ये पल पल उजाले, ये पल पल अंधेरे
बहोत ठंडे ठंडे हैं राहों के साये

धड़कते हैं दिल कितनी आज़ादीयों से
बहोत मिलते जुलते हैं इन वादियों से
मोहब्बत की रंगीन पनाहों के साये

ye dil aur unkī nigāhoṅ ke sāye
mujhe gher lete haiṅ bāhoṅ ke sāye

pahāṛoṅ ko chaṅchal kiraṇ chūmtī hai
havā har nadī kā badan chūmtī hai
yahāṇ se vahāṇ tak haiṅ chāhoṅ ke sāye

lipaṭte ye peṛoṅ se bādal ghanere
ye pal pal ujāle, ye pal pal aṅdhere
bahot ṭhaṅḍe ṭhaṅḍe haiṅ rāhoṅ ke sāye

dhaṛakte haiṅ dil kitnī āzādīyoṅ se
bahot milte julte haiṅ in vādiyoṅ se
mohabbat kī raṅgīn panāhoṅ ke sāye