Ye bebsee ye meraa haal-e-zaar dekh to le

ये बेबसी ये मेरा हाल-ए-ज़ार देख तो ले
Work
Year
Language

ये बेबसी ये मेरा हाल-ए-ज़ार देख तो ले
खड़ा हूँ देर से उम्मीदवार देख तो ले -2

ख़िज़ा ने लूट लिया
ख़िज़ा ने लूट लिया दिल की आरज़ू का चमन
कहां है ऐ मेरी खोई बहार देख तो ले -2
खड़ा हूँ देर से उम्मीदवार देख तो ले

बसी रहे तेरे महलों की चार दीवारी
न आ सके तो न आ, एक बार देख तो ले -2
खड़ा हूँ देर से उम्मीदवार देख तो ले

सहर क़रीब है और शमा बुझनेवाली है
तड़प है तेरा बेक़रार देख तो ले -2
खड़ा हूँ देर से उम्मीदवार देख तो ले

ye bebsī ye merā hāl-e-zār dekh to le
khaṛā hūṇ der se ummīdvār dekh to le -2

khizā ne lūṭ liyā
khizā ne lūṭ liyā dil kī ārazū kā chaman
kahāṅ hai ai merī khoī bahār dekh to le -2
khaṛā hūṇ der se ummīdvār dekh to le

basī rahe tere mahloṅ kī chār dīvārī
na ā sake to na ā, ek bār dekh to le -2
khaṛā hūṇ der se ummīdvār dekh to le

sahar qarīb hai aur śhamā bujhnevālī hai
taṛap hai terā beqrār dekh to le -2
khaṛā hūṇ der se ummīdvār dekh to le