Ye aankhen dekh kar ham saaree duniyaa bhool jaate hain

ये आँखें देख कर हम सारी दुनिया भूल जाते हैं
Work
Year
Language

ये आँखें देख कर हम सारी दुनिया भूल जाते हैं
इन्हें पाने की धुन में हर तमन्ना भूल जाते हैं
ये आँखें …

तुम अपनी महकी महकी ज़ुल्फ़ के पेचों को कम कर दो
मुसाफ़िर इनमें गिरकर अपना रस्ता भूल जाते हैं
ये आँखें …

ये आँखें जब हमें अपनी पनाहो में बुलाती हैं
हमे अपनी क़सम हम हर सहरा भूल जाते हैं

तुम्हारे नर्म-ओ-नाज़ुक होंठ जिस दम मुस्कराते हैं
बहारें झेंपतीं फूल खिलना भूल जाते हैं
ये आँखें …

बहुत कुछ तुम से कहने की तमन्ना दिल में रखते हैं
मगर जब सामने आते हो तो कहना भूल जाते हैं

मुहब्बत में ज़ुबां चुप हो तो आँखें बात करतीं हैं
ये कह देती हैं वो बातें जो कहना भूल जाते हैं
ये आँखें …

ye āṇkheṅ dekh kar ham sārī duniyā bhūl jāte haiṅ
inheṅ pāne kī dhun meṅ har tamannā bhūl jāte haiṅ
ye āṇkheṅ …

tum apnī mahkī mahkī zulf ke pechoṅ ko kam kar do
musāfir inmeṅ girkar apnā rastā bhūl jāte haiṅ
ye āṇkheṅ …

ye āṇkheṅ jab hameṅ apnī panāho meṅ bulātī haiṅ
hame apnī qasam ham har sahrā bhūl jāte haiṅ

tumhāre narm-o-nāzuk hoṅṭh jis dam muskrāte haiṅ
bahāreṅ jheṅptīṅ phūl khilnā bhūl jāte haiṅ
ye āṇkheṅ …

bahut kuchh tum se kahne kī tamannā dil meṅ rakhte haiṅ
magar jab sāmne āte ho to kahnā bhūl jāte haiṅ

muhabbat meṅ zubāṅ chup ho to āṇkheṅ bāt kartīṅ haiṅ
ye kah detī haiṅ vo bāteṅ jo kahnā bhūl jāte haiṅ
ye āṇkheṅ …