यही आरज़ू थी दिल की कि क़रीब यार होता
यही आरज़ू थी दिल की कि क़रीब यार होता
और हज़ार जाँ से क़ुरबाँ मैं हज़ार बार होता
न सही अगर नहीं था बुत-ए-बेवफ़ा पे क़ाबू
यही बस था मेरे बस में दिल-ए-बेक़रार होता
जो पिलाना था पिलाता कोई ऐसी मय ऐ साक़ी
जिसे पी के ताब महशर न मैं होशियार होता
हर एक आफ़तों का करता मैं ख़ुशी से ख़ैर-मक़दम
मैं अलम को भूल जाता जो तू ग़मगुसार होता
तुझे लुत्फ़-ए-दीद मिलता मुझे लुत्फ़-ए-मर्ग क़ातिल
मैं हमेशा मरता रहता कोई ऐसा वार करता
yahī ārazū thī dil kī ki qarīb yār hotā
aur hazār jāṇ se qurbāṇ maiṅ hazār bār hotā
na sahī agar nahīṅ thā but-e-bevafā pe qābū
yahī bas thā mere bas meṅ dil-e-beqrār hotā
jo pilānā thā pilātā koī aisī may ai sāqī
jise pī ke tāb mahśhar na maiṅ hośhiyār hotā
har ek āftoṅ kā kartā maiṅ khuśhī se khair-maqdam
maiṅ alam ko bhūl jātā jo tū ġhamgusār hotā
tujhe lutf-e-dīd miltā mujhe lutf-e-marg qātil
maiṅ hameśhā martā rahtā koī aisā vār kartā