Yaaron kaa yaar lie nakhre hazaar lie

यारों का यार लिए नखरे हज़ार लिए
Year
Language

र: यारों का यार लिए नखरे हज़ार लिए
जाती है गोरी बुलाओ रे कोई -2
आ: उलझे से बाल वाला लाल लाल रुमाल वाला -2
छेड़े है मोहे बचाओ रे कोई -2

र: दे दूँगा जान मैं तो आज तेरी चाह में -2
देखो मैं लेट गया लेट गया राह में -2
आ: हाय ना कोई लाज ना शरम है निगाह में -2
रस्ते का पत्थर हटाओ रे कोई
र: यारों का यार लिए …

आ: बीच बाज़ार मेरे गले पड़ जाए है -2
छोरा बेकार में दीवाना बना जाए है -2
र: मजनूं का प्यार देखो लैला ठुकराए है -2
लैला को मजनूं बनाओ रे कोई
आ: उलझे से बाल वाला …

र: फिर एक बार गोरी देख ज़रा फिर के -2
नखरों की भीड़ में मैं रह गया घिर के -2
आ: ओय थोड़ी सी दूर चला रुक गया फिर से -2
छकड़े को मोटर बनाओ रे कोई
र: यारों का यार लिए …

ra: yāroṅ kā yār lie nakhre hazār lie
jātī hai gorī bulāo re koī -2
ā: uljhe se bāl vālā lāl lāl rumāl vālā -2
chheṛe hai mohe bachāo re koī -2

ra: de dūṇgā jān maiṅ to āj terī chāh meṅ -2
dekho maiṅ leṭ gayā leṭ gayā rāh meṅ -2
ā: hāy nā koī lāj nā śharam hai nigāh meṅ -2
raste kā patthar haṭāo re koī
ra: yāroṅ kā yār lie …

ā: bīch bāzār mere gale paṛ jāe hai -2
chhorā bekār meṅ dīvānā banā jāe hai -2
ra: majnūṅ kā pyār dekho lailā ṭhukrāe hai -2
lailā ko majnūṅ banāo re koī
ā: uljhe se bāl vālā …

ra: phir ek bār gorī dekh zarā phir ke -2
nakhroṅ kī bhīṛ meṅ maiṅ rah gayā ghir ke -2
ā: oy thoṛī sī dūr chalā ruk gayā phir se -2
chhakaṛe ko moṭar banāo re koī
ra: yāroṅ kā yār lie …