Yaaro mujhe muaaf rakho main nashe men hoon

यारो मुझे मुआफ़ रखो मैं नशे में हूँ
Work
Year
Language

यारो मुझे मुआफ़ रखो मैं नशे में हूँ
अब जाम दो तो खालि ही दो मैं नशे में हूँ

कया जाने कह गया हूँ नशे में ख़बर नहीं
मेरा न कुछ खयाल करो मैं नशे में हूँ

या हथों-हथ लो मुझे मानिन्द-ए-जाम-ए-मै
या थोड़ी दूर साथ चलो मैं नशे में हूँ

ग़म से ज़रा नजात मिली बेखुदि में आज
अब मेरा इंतज़ार करो मैं नशे में हूँ

yāro mujhe muāf rakho maiṅ naśhe meṅ hūṇ
ab jām do to khāli hī do maiṅ naśhe meṅ hūṇ

kayā jāne kah gayā hūṇ naśhe meṅ khabar nahīṅ
merā na kuchh khayāl karo maiṅ naśhe meṅ hūṇ

yā hathoṅ-hath lo mujhe mānind-e-jām-e-mai
yā thoṛī dūr sāth chalo maiṅ naśhe meṅ hūṇ

ġham se zarā najāt milī bekhudi meṅ āj
ab merā iṅtazār karo maiṅ naśhe meṅ hūṇ