Yaad aaee hai beksee chhaaee hai

याद आई है बेकसी छाई है
Work
Year
Language

याद आई है
बेकसी छाई है
रो रही है ख़ुशी
आँख भर आई है

आँसू भी पिये तेरी याद में हरदम
मर-मर के जिये अब किससे कहें हम
हाय क्‌या हो गया
वो कहाँ खो गया
दिल मेरा सो गया

ज़ालिम ज़माने न इतना सता
वो हैं कहाँ तू बता दे पता
आस मिटी मेरा चैन लुटा चैन लुटा
मिट गया है निशाँ
लुट गया आशियाँ
मौत का है समाँ

तूफ़ान में है उल्फ़त का सफ़ीना
खोया है मेरे इस दिल का नगीना
प्यार तो ना हुआ
दर्द दूर ना हुआ
साथ तू ना हुआ

याद आई है
बेकसी छाई है
रो रही है ख़ुशी
आँख भर आई है

yād āī hai
beksī chhāī hai
ro rahī hai khuśhī
āṇkh bhar āī hai

āṇsū bhī piye terī yād meṅ hardam
mar-mar ke jiye ab kisse kaheṅ ham
hāy k‌yā ho gayā
vo kahāṇ kho gayā
dil merā so gayā

zālim zamāne na itnā satā
vo haiṅ kahāṇ tū batā de patā
ās miṭī merā chain luṭā chain luṭā
miṭ gayā hai niśhāṇ
luṭ gayā āśhiyāṇ
maut kā hai samāṇ

tūfān meṅ hai ulfat kā safīnā
khoyā hai mere is dil kā nagīnā
pyār to nā huā
dard dūr nā huā
sāth tū nā huā

yād āī hai
beksī chhāī hai
ro rahī hai khuśhī
āṇkh bhar āī hai