Vo zindgee jo thee ab teree panaahon men

वो ज़िन्दगी जो थी अब तेरी पनाहों में
Work
Year
Language

वो ज़िन्दगी जो थी अब तेरी पनाहों में -2
चली है आज भटकने उदास राहों में
वो ज़िन्दगी जो …

तमाम उम्र के रिश्ते घड़ी में ख़ाक़ हुए -2
न हम हैं दिल में किसी के न हैं निगाहों में -2
वो ज़िन्दगी जो …

ये आज जान लिया अपनी कमनसीबी ने -2
कि बेग़ुनाही भी शामिल हुई ग़ुनाहों में -2
वो ज़िन्दगी जो …

किसी को अपनी ज़रूरत न हो तो क्‌या कीजे -2
निकल पड़े हैं सिमटने क़ज़ा की बाँहों में -2
वो ज़िन्दगी जो …

vo zindgī jo thī ab terī panāhoṅ meṅ -2
chalī hai āj bhaṭakne udās rāhoṅ meṅ
vo zindgī jo …

tamām umr ke riśhte ghaṛī meṅ khāq hue -2
na ham haiṅ dil meṅ kisī ke na haiṅ nigāhoṅ meṅ -2
vo zindgī jo …

ye āj jān liyā apnī kamansībī ne -2
ki beġhunāhī bhī śhāmil huī ġhunāhoṅ meṅ -2
vo zindgī jo …

kisī ko apnī zarūrat na ho to k‌yā kīje -2
nikal paṛe haiṅ simaṭne qazā kī bāṇhoṅ meṅ -2
vo zindgī jo …