वो तीर कलेजे पर इक शोख़ ने मारा है
वो तीर कलेजे पर इक शोख़ ने मारा है
हर दर्द में तस्क़ीं है हर ग़म हमें प्यारा है
वह जिनके तसव्वुर से रोशन है मेरी दुनिया
है चाँद ख़्यालों का आँखों का सितारा है
दामन को बचा लेना यह काम है दुनिया का
हम दिल को जला देंगे यह काम हमारा है
अल्लाह हैं वह नज़रें अब जिनके इशारे पर
जीना भी गवारा है मरना भी गवारा है
vo tīr kaleje par ik śhokh ne mārā hai
har dard meṅ tasqīṅ hai har ġham hameṅ pyārā hai
vah jinke tasavvur se rośhan hai merī duniyā
hai chāṇd khyāloṅ kā āṇkhoṅ kā sitārā hai
dāman ko bachā lenā yah kām hai duniyā kā
ham dil ko jalā deṅge yah kām hamārā hai
allāh haiṅ vah nazreṅ ab jinke iśhāre par
jīnā bhī gavārā hai marnā bhī gavārā hai