Vo mohabbat vo vafaaen kis tarah ham bhool jaaen

वो मोहब्बत वो वफ़ाएँ किस तरह हम भूल जाएँ
Work
Year
Language

वो मोहब्बत वो वफ़ाएँ किस तरह हम भूल जाएँ
ए ग़म-ए-दिल जी रहे हैं तुझको दे कर हम दुआएँ
वो मोहब्बत वो …

जब से लूटा गर्दिशों ने इश्क़ तनहा रह गया है
उनकी यादों के अलावा अब यहाँ क्‌या रह गया है -2
हमसे रूठा है ख़ुदा भी किसको अपना ग़म दिखाएँ
वो मोहब्बत वो …

नाम उनका गूँजता है अब भी दिल की धड़कनों में
पड़ गई है ज़िन्दगानी हाय कितनी उलझनों में -2
काश ख़्वाबों में वो आकर हालत-ए-दिल देख जाएँ
वो मोहब्बत वो …

चन्द आहों का सहारा चन्द अश्क़ों पर गुज़ारा
ये भी कोई ज़िन्दगी है ऐ मेरे परवरदिगारा -2
खुद ही बख़्शा प्यार तूने खुद ही हमको दीं सज़ाएँ
वो मोहब्बत वो …

vo mohabbat vo vafāeṇ kis tarah ham bhūl jāeṇ
e ġham-e-dil jī rahe haiṅ tujhko de kar ham duāeṇ
vo mohabbat vo …

jab se lūṭā gardiśhoṅ ne iśhq tanhā rah gayā hai
unkī yādoṅ ke alāvā ab yahāṇ k‌yā rah gayā hai -2
hamse rūṭhā hai khudā bhī kisko apnā ġham dikhāeṇ
vo mohabbat vo …

nām unkā gūṇjtā hai ab bhī dil kī dhaṛaknoṅ meṅ
paṛ gaī hai zindgānī hāy kitnī ulajhnoṅ meṅ -2
kāśh khvāboṅ meṅ vo ākar hālat-e-dil dekh jāeṇ
vo mohabbat vo …

chand āhoṅ kā sahārā chand aśhqoṅ par guzārā
ye bhī koī zindgī hai ai mere paravardigārā -2
khud hī bakhśhā pyār tūne khud hī hamko dīṅ sazāeṇ
vo mohabbat vo …