Vo khvaab suhaanaa toot gayaa

वो ख़्वाब सुहाना टूट गया
Year
Language

वो ख़्वाब सुहाना टूट गया, उम्मीद गयी, अरमान गये
ऐ दुनिया हम से चाल न कर हम खूब तुझे पहचान गये

देखा न पलट कर साहिल को मल्लाह का दामन छोड़ दिया, छोड़ दिया
टकरा के हमारी कश्ती को कैसे कैसे तूफ़ान गये
वो ख़्वाब सुहाना टूट गया …

जो प्यार किया झूठा निकला जो आस लगाई टूट गई
दुनिया में वफ़ा का नाम नहीं हम सारी दुनिया छान गये
वो ख़्वाब सुहाना टूट गया …

vo khvāb suhānā ṭūṭ gayā, ummīd gayī, armān gaye
ai duniyā ham se chāl na kar ham khūb tujhe pahchān gaye

dekhā na palaṭ kar sāhil ko mallāh kā dāman chhoṛ diyā, chhoṛ diyā
ṭakrā ke hamārī kaśhtī ko kaise kaise tūfān gaye
vo khvāb suhānā ṭūṭ gayā …

jo pyār kiyā jhūṭhā niklā jo ās lagāī ṭūṭ gaī
duniyā meṅ vafā kā nām nahīṅ ham sārī duniyā chhān gaye
vo khvāb suhānā ṭūṭ gayā …