वो जो चाहने वाले हैं तेरे सनम तुझे ढूँढ ही
वो जो चाहने वाले हैं तेरे सनम
तुझे ढूँढ ही लेंगे कहीं न कहीं
तेरे प्यार की हमने खाई है क़सम
तुझे ढूँढ ही लेंगे …
लिया जो तूने हमसे मुँह को छिपा
तेरी ये भी है ज़ालिम एक अदा
इन्हीं शोख़ अदाओं पे मरते हैं हम
तुझे ढूँढ ही लेंगे …
तेरे कूचे से आई जो ठंडी हवा
उसे रोक कर पूछेंगे तेरा पता
नहीं बैठने वाले हैं चैन से हम
तुझे ढूँढ ही लेंगे …
कभी बाग़ों में ढूँढेगी तुझको नज़र
कभी तारों से पूछेंगे तेरी ख़बर
यही ठान के निकले हैं तेरी क़सम
तुझे ढूँढ ही लेंगे …
vo jo chāhne vāle haiṅ tere sanam
tujhe ḍhūṇḍh hī leṅge kahīṅ na kahīṅ
tere pyār kī hamne khāī hai qasam
tujhe ḍhūṇḍh hī leṅge …
liyā jo tūne hamse muṇh ko chhipā
terī ye bhī hai zālim ek adā
inhīṅ śhokh adāoṅ pe marte haiṅ ham
tujhe ḍhūṇḍh hī leṅge …
tere kūche se āī jo ṭhaṅḍī havā
use rok kar pūchheṅge terā patā
nahīṅ baiṭhne vāle haiṅ chain se ham
tujhe ḍhūṇḍh hī leṅge …
kabhī bāġhoṅ meṅ ḍhūṇḍhegī tujhko nazar
kabhī tāroṅ se pūchheṅge terī khabar
yahī ṭhān ke nikle haiṅ terī qasam
tujhe ḍhūṇḍh hī leṅge …