Vo haseen dard de do, jise main gale lagaa loon

वो हसीन दर्द दे दो, जिसे मैं गले लगा लूँ
Work
Year
Language

वो हसीन दर्द दे दो, जिसे मैं गले लगा लूँ
वो निगाह मुझ पे डालो, के मैं जिंदगी बना लूँ

तुम्हें तुम से माँगती हूँ, ज़रा अपना हाथ दे दो
मुझे आज जिंदगी की वो सुहाग रात दे दो
जिसे लेके कुछ ना माँगू और माँग में सज़ा लूँ

मेरी आरजू तो देखो, तुम्हें सामने बिठाकर
कभी दिल के पास लाकर, कभी दिलरुबा बनाकर
कोई दास्तान सुन लूँ, कोई दास्ताँ सुना लूँ

मैने प्यार के अलावा कभी तुम से कुछ ना माँगा
तुम्हे जाने क्या समझकर, मैने हर कदम पे चाहा
मेरा आज फ़ैसला है तुम्हें हमसफ़र बना लूँ

vo hasīn dard de do, jise maiṅ gale lagā lūṇ
vo nigāh mujh pe ḍālo, ke maiṅ jiṅdgī banā lūṇ

tumheṅ tum se māṇgtī hūṇ, zarā apnā hāth de do
mujhe āj jiṅdgī kī vo suhāg rāt de do
jise leke kuchh nā māṇgū aur māṇg meṅ sazā lūṇ

merī ārjū to dekho, tumheṅ sāmne biṭhākar
kabhī dil ke pās lākar, kabhī dilrubā banākar
koī dāstān sun lūṇ, koī dāstāṇ sunā lūṇ

maine pyār ke alāvā kabhī tum se kuchh nā māṇgā
tumhe jāne kyā samajhkar, maine har kadam pe chāhā
merā āj faislā hai tumheṅ hamasafar banā lūṇ