वो हम से चुप हैं हम उन से चुप हैं मनाने वाले, मना रहें हैं
चि: वो हम से चुप हैं, हम उनसे चुप हैं
ल: मनाने वाले, मना रहें हैं
चि: वो हम से चुप हैं, हम उनसे चुप हैं
ल: मनाने वाले, मना रहें हैं
चि: निगाहें उठ उठके झुक रही हैं - 2
ल: मज़े मुहब्बत के आ रहें हैं
दोनो: वो हम से चुप हैं …
चि: ये झूठी आहें, ये झूठे आँसू - 2
झलक रहें हैं, जो हर पलक में
ल: बता रहें हैं
बता रहें हैं, के टूटे दिल दो
हज़ारों सदमे उठा रहें हैं
दोनो: मज़े मुहब्बत के आ रहें हैं
वो हमसे चुप हैं …
ल: घड़ी में बिगड़े, घड़ी में झगड़े - 2
हैं बैठे फिर भी ऐसी अदा से, ऐसी अदा से
चि: दबा के अपने होंठों को दोनो,
हंसी को अपनी छिपा रहें,
दोनो: मज़े मुहब्बत के आ रहें हैं
वो हमसे चुप हैं …
chi: vo ham se chup haiṅ, ham unse chup haiṅ
la: manāne vāle, manā raheṅ haiṅ
chi: vo ham se chup haiṅ, ham unse chup haiṅ
la: manāne vāle, manā raheṅ haiṅ
chi: nigāheṅ uṭh uṭhke jhuk rahī haiṅ - 2
la: maze muhabbat ke ā raheṅ haiṅ
dono: vo ham se chup haiṅ …
chi: ye jhūṭhī āheṅ, ye jhūṭhe āṇsū - 2
jhalak raheṅ haiṅ, jo har palak meṅ
la: batā raheṅ haiṅ
batā raheṅ haiṅ, ke ṭūṭe dil do
hazāroṅ sadme uṭhā raheṅ haiṅ
dono: maze muhabbat ke ā raheṅ haiṅ
vo hamse chup haiṅ …
la: ghaṛī meṅ bigaṛe, ghaṛī meṅ jhagaṛe - 2
haiṅ baiṭhe phir bhī aisī adā se, aisī adā se
chi: dabā ke apne hoṅṭhoṅ ko dono,
haṅsī ko apnī chhipā raheṅ,
dono: maze muhabbat ke ā raheṅ haiṅ
vo hamse chup haiṅ …