वो दूर जो नदिया बहती है वहाँ इक अलबेली
र: वो दूर जो नदिया बहती है वहाँ इक अलबेली रहती है
ल: सुन भैया वही मेरी भाभी है गोरा मुखड़ा है गाल गुलाबी हैं
देखो उस पीपल के नीचे कोई मस्त खड़ा है अँखियाँ मींचे
र: मत देख उठा के ले जाएगा तुझे अपना बना के ले जाएगा
देखो बादल आवारा फिरता है क्यों मारा मारा
ल: मैं जान गई ये बेचारा है मेरे भैया जैसा कुँवारा है
र: वो पंछी जो उड़ता जाता है मीठी धुन में कुछ गाता है
ल: कहता है तू पी घर जाएगी फिर भैया को याद न आएगी
र: चल ऐसी ज़ुबाँ पर बात न ला हँसते हँसते पी के घर जा
तेरी राखी की लाज निभाऊँगा जीते जी न तुझको भुलाऊँगा
ra: vo dūr jo nadiyā bahtī hai vahāṇ ik albelī rahtī hai
la: sun bhaiyā vahī merī bhābhī hai gorā mukhaṛā hai gāl gulābī haiṅ
dekho us pīpal ke nīche koī mast khaṛā hai aṇkhiyāṇ mīṅche
ra: mat dekh uṭhā ke le jāegā tujhe apnā banā ke le jāegā
dekho bādal āvārā phirtā hai kyoṅ mārā mārā
la: maiṅ jān gaī ye bechārā hai mere bhaiyā jaisā kuṇvārā hai
ra: vo paṅchhī jo uṛtā jātā hai mīṭhī dhun meṅ kuchh gātā hai
la: kahtā hai tū pī ghar jāegī phir bhaiyā ko yād na āegī
ra: chal aisī zubāṇ par bāt na lā hṇste hṇste pī ke ghar jā
terī rākhī kī lāj nibhāūṇgā jīte jī na tujhko bhulāūṇgā