Vaqt se pahle qismat se jyaadaa

वक़्त से पहले क़िसमत से ज्यादा
Year
Language

वक़्त से पहले क़िसमत से ज्यादा
किसी को मिला है न किसी को मिलेगा
प्यार से सारा गुलशन महके
नफ़रत से कोई गुल न खिलेगा
वक़्त से पहले क़िसमत से ज्यादा …

ग़म को हमने गीत बना कर
इस दुनिया का दिल बहलाया
हँसते हँसाते जाने कैसे
दिल ही दिल में तुमको पाया
हम हैं सबके, कोई न अपना
इक दिन कोई अपना मिलेगा
प्यार से सारा गुलशन महके
नफ़रत से कोई गुल न खिलेगा
वक़्त से पहले क़िसमत से ज्यादा …

नैन मिले और चैन गँवाया
बात पुरानी फिर भी नई है
तेरी नज़र ने मेरी नज़र से
बिन बोले इक बात कही है
देख के मुझको यूँ न लजाओ
दिल पे फिर क़ाबू न रहेगा
प्यार से सारा गुलशन महके
नफ़रत से कोई गुल न खिलेगा
वक़्त से पहले क़िसमत से ज्यादा …

vaqt se pahle qismat se jyādā
kisī ko milā hai na kisī ko milegā
pyār se sārā gulaśhan mahke
nafrat se koī gul na khilegā
vaqt se pahle qismat se jyādā …

ġham ko hamne gīt banā kar
is duniyā kā dil bahlāyā
hṇste hṇsāte jāne kaise
dil hī dil meṅ tumko pāyā
ham haiṅ sabke, koī na apnā
ik din koī apnā milegā
pyār se sārā gulaśhan mahke
nafrat se koī gul na khilegā
vaqt se pahle qismat se jyādā …

nain mile aur chain gṇvāyā
bāt purānī phir bhī naī hai
terī nazar ne merī nazar se
bin bole ik bāt kahī hai
dekh ke mujhko yūṇ na lajāo
dil pe phir qābū na rahegā
pyār se sārā gulaśhan mahke
nafrat se koī gul na khilegā
vaqt se pahle qismat se jyādā …