Vaqt kaate naheen kattaa hai tere binaa mere saajan

वक़्त काटे नहीं कटता है तेरे बिना मेरे साजन्
Work
Year
Language

वक़्त काटे नहीं कटता है तेरे बिना मेरे साजन
काश ये हो के तू आ जाए बीत न जाए सावन

देखती हूँ तेरी राह रात दिन आ भी जा मेरे दिल के क़रार
मर न जाऊं तड़प के कहीं यूं न कर तू मुझे बेकरार
वक़्त काटे नहीं …

बूंद पानी की तल पे गिरे उठे मन में कोई हलचल
ऐसे सावन का कोई क्‌या करे जो जी को जलाए हर पल
वक़्त काटे नहीं …

vaqt kāṭe nahīṅ kaṭtā hai tere binā mere sājan
kāśh ye ho ke tū ā jāe bīt na jāe sāvan

dekhtī hūṇ terī rāh rāt din ā bhī jā mere dil ke qarār
mar na jāūṅ taṛap ke kahīṅ yūṅ na kar tū mujhe bekrār
vaqt kāṭe nahīṅ …

būṅd pānī kī tal pe gire uṭhe man meṅ koī halchal
aise sāvan kā koī k‌yā kare jo jī ko jalāe har pal
vaqt kāṭe nahīṅ …