Vakt kartaa jo vaphaa, aap hamaare hote

वक्त करता जो वफा, आप हमारे होते
Year
Language

वक्त करता जो वफ़ा, आप हमारे होते
हम भी औरों की तरह आप को प्यारे होते

अपनी तकदीर में पहले ही से कुछ तो गम हैं
और कुछ आप की फितरत में वफ़ा भी कम है
वरना जीती हुयी बाजी तो ना हारे होते

हम भी प्यासे हैं ये साकी को बता भी न सके
सामने जाम था और जाम उठा भी न सके
काश हम गैरत-ए-महफ़िल के न मारे होते

दम घूटा जाता है सीने में फिर भी ज़िंदा हैं
तुम से क्या, हम तो जिन्दगी से भी शरमिंदा हैं
मर ही जाते ना जो यादों के सहारे होते

vakt kartā jo vafā, āp hamāre hote
ham bhī auroṅ kī tarah āp ko pyāre hote

apnī takdīr meṅ pahle hī se kuchh to gam haiṅ
aur kuchh āp kī phitarat meṅ vafā bhī kam hai
varnā jītī huyī bājī to nā hāre hote

ham bhī pyāse haiṅ ye sākī ko batā bhī na sake
sāmne jām thā aur jām uṭhā bhī na sake
kāśh ham gairat-e-mahafil ke na māre hote

dam ghūṭā jātā hai sīne meṅ phir bhī ziṅdā haiṅ
tum se kyā, ham to jindgī se bhī śharmiṅdā haiṅ
mar hī jāte nā jo yādoṅ ke sahāre hote