Vaadaa rahaa sanam, honnge judaa na ham (abheejit & alkaa)

वादा रहा सनम, होन्ंगे जुदा न हम (अभीजित & अल्का)
Work
Year
Language

अलका: वादा रहा सनम, होंगे जुदा न हम
चाहे न चाहे ज़माना
हमारी चाहतों का
मिट ना सकेगा फ़साना

अभीजीत: वादा रहा सनम, होंगे जुदा न हम
चाहे न चाहे ज़माना
हमारी चाहतों का
मिट ना सकेगा फ़साना

अलका: (इन वादियों में यूं ही मिलते रहेंगे
दिल में वफ़ा के दिये जलते रहेंगे ) - 2
ये माँगा है दुआओं में
कमी न हो वफ़ाओं में
रहे तेरी निगाहों में
देखो न इन फ़िज़ाओं में ओ जाने जां
हमारी चाहतों का …

अभीजीत: (कैसी उदासी तेरे चेहरे पे छाई
क्‌या बात है जो तेरी आँख भर आई) - 2
देखो तो क्‌या नज़ारे हैं
तुम्हारी तरह प्यारे हैं
हंसो न मेरे लिये तुम
सभी तो तुम्हारे हैं ओ जाने जां
हमारी चाहतों का …

दोनो: वादा रहा सनम, होंगे जुदा न हम
चाहे न चाहे ज़माना
हमारी चाहतों का
मिट ना सकेगा फ़साना

alkā: vādā rahā sanam, hoṅge judā na ham
chāhe na chāhe zamānā
hamārī chāhtoṅ kā
miṭ nā sakegā fasānā

abhījīt: vādā rahā sanam, hoṅge judā na ham
chāhe na chāhe zamānā
hamārī chāhtoṅ kā
miṭ nā sakegā fasānā

alkā: (in vādiyoṅ meṅ yūṅ hī milte raheṅge
dil meṅ vafā ke diye jalte raheṅge ) - 2
ye māṇgā hai duāoṅ meṅ
kamī na ho vafāoṅ meṅ
rahe terī nigāhoṅ meṅ
dekho na in fizāoṅ meṅ o jāne jāṅ
hamārī chāhtoṅ kā …

abhījīt: (kaisī udāsī tere chehre pe chhāī
k‌yā bāt hai jo terī āṇkh bhar āī) - 2
dekho to k‌yā nazāre haiṅ
tumhārī tarah pyāre haiṅ
haṅso na mere liye tum
sabhī to tumhāre haiṅ o jāne jāṅ
hamārī chāhtoṅ kā …

dono: vādā rahā sanam, hoṅge judā na ham
chāhe na chāhe zamānā
hamārī chāhtoṅ kā
miṭ nā sakegā fasānā