Vaadaa haan vaadaa jab tak ambar par taare hon

वादा हाँ वादा जब तक अम्बर पर तारे हों
Year
Language

वादा हाँ वादा
जब तक अम्बर पर तारे हों और धरती पर फूल खिलें
इसी जगह और इसी तरह हम दो मतवाले रोज़ मिलें
समझे करो वादा
हाँ जी हाँ वादा

देखो अब बिछड़े न मिल के निगाह
कहा है तो हम सदा करेंगे निबाह
तपी-तपी धुली-धुली साँसें हैं गवाह
जिएँ चाहे मरें अब घटेगी न चाह
जब तक नदियों में पानी हो और पेड़ों के हाथ हिलें
इसी जगह और इसी …

देखो कल ढूँढे नहीं हमको ये राह
जुदा हो के जीना हो तो जीना है ग़ुनाह
मिले ये सदा यूँही बाँहों की पनाह
घटे न कभी मेरा प्यार है अथाह
वादा बोलो बोल दिया न वादा
फूल बिछे हों इस रस्ते में या काँटों से पाँव छिलें
इसी जगह और इसी …

vādā hāṇ vādā
jab tak ambar par tāre hoṅ aur dhartī par phūl khileṅ
isī jagah aur isī tarah ham do matvāle roz mileṅ
samjhe karo vādā
hāṇ jī hāṇ vādā

dekho ab bichhaṛe na mil ke nigāh
kahā hai to ham sadā kareṅge nibāh
tapī-tapī dhulī-dhulī sāṇseṅ haiṅ gavāh
jieṇ chāhe mareṅ ab ghaṭegī na chāh
jab tak nadiyoṅ meṅ pānī ho aur peṛoṅ ke hāth hileṅ
isī jagah aur isī …

dekho kal ḍhūṇḍhe nahīṅ hamko ye rāh
judā ho ke jīnā ho to jīnā hai ġhunāh
mile ye sadā yūṇhī bāṇhoṅ kī panāh
ghaṭe na kabhī merā pyār hai athāh
vādā bolo bol diyā na vādā
phūl bichhe hoṅ is raste meṅ yā kāṇṭoṅ se pāṇv chhileṅ
isī jagah aur isī …