उस कश्ती का क्या होगा जिसे मांझी छोड़ गया
उस कश्ती का क्या होगा जिसे मांझी छोड़ गया
पतवारें तोड़ गया
देश को आते हैं परदेसी लोग बिछड़ते हैं मिलते हैं
आते जाते हैं ये मौसम बाग उजड़ते हैं फिर खिलते हैं
उस गुलशन का क्या होगा जिसे माली छोड़ गया
सब कलियां तोड़ गया
उस कश्ती का क्या होगा …
मिट जाती है कोई उमंग तो याद किसे फिर वो आती है
कट जाती है कोई पतंग वो जिस धरती पे गिर जाती है
उस बिरहन का क्या होगा जिसे साजन छोड़ गया
सब वादे तोड़ गया
उस कश्ती का क्या होगा …
भूले से भी नाम न लेना इन कसमों का उन वादों का
मैने देखा है कितनों को मातम करते इन यादों का
उन लोगों का क्या होगा जिन्हें कोई छोड़ गया
सब रिश्ते तोड़ गया
उस कश्ती का क्या होगा …
us kaśhtī kā kyā hogā jise māṅjhī chhoṛ gayā
patvāreṅ toṛ gayā
deśh ko āte haiṅ pardesī log bichhaṛte haiṅ milte haiṅ
āte jāte haiṅ ye mausam bāg ujaṛte haiṅ phir khilte haiṅ
us gulaśhan kā kyā hogā jise mālī chhoṛ gayā
sab kaliyāṅ toṛ gayā
us kaśhtī kā kyā hogā …
miṭ jātī hai koī umaṅg to yād kise phir vo ātī hai
kaṭ jātī hai koī pataṅg vo jis dhartī pe gir jātī hai
us birahan kā kyā hogā jise sājan chhoṛ gayā
sab vāde toṛ gayā
us kaśhtī kā kyā hogā …
bhūle se bhī nām na lenā in kasmoṅ kā un vādoṅ kā
maine dekhā hai kitnoṅ ko mātam karte in yādoṅ kā
un logoṅ kā kyā hogā jinheṅ koī chhoṛ gayā
sab riśhte toṛ gayā
us kaśhtī kā kyā hogā …